Dua ki Taqat – Jab Sab Raste Band Ho Jaate Hain

Naaz Naz

2 hours ago

Kabhi aisa lagta hai ke zindagi mein koi raasta nahi bacha… har taraf andhera hi andhera hai. Insaan thak jata hai, toot jata hai. Lekin ek darwaza hamesha khula rehta hai — Allah ka darwaza.
1000307907.jpg
Kabhi bhi yeh mat socho ke aapki dua qubool nahi hui. Ho sakta hai Allah aapko kisi buri cheez se bacha raha ho, ya aapke liye kuch aur behtar tayyar kar raha ho.
✨ Yaad rakho:
“Jab insaan ke saare plans fail ho jaate hain, tab Allah ka plan shuru hota hai.”
Isliye har haal mein dua karte raho… kyunki ek dua aapki poori zindagi badal sakti hai 🤍